JUMMA KI FARZIYAT

 

Jumma mubarak status

JUMA KI FARZIYAT :

Irshaad bari taala hai:
” aiy iman walon! Jab jumah ke din namaz(jumma) ke liye azaan di jaaye to allah ke zikr(khutba aur namaz) ki taraf daudo aur (us waqt) kaarobaar chhod do, agar tum samjho to yah tumhare haq me bahut bahtar hai”
(surah juma)

Hazrat Abu Jaad Jamri R.A se riwayat hai ki aap (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:-” jo shakhs susti ki wajah se 3 jumah chhod den to allah taala uske dil par muhar laga deta hai”
(abu dawood abwabul juma 1052, tirmizi 499,)

aap(sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:-” log jumah chhodne se baaz aa jaayen warna allah taala unke dilon par muhar laga dega phir We ghaafil ho jaayenge”
(muslim al juma 865)

Hazrat Ibne Masud R.A se riwayat hai ki aap(sallallahu alaihi wasallam) ne un logon ke gharon ko jo( susti ki wajah se) jumah se peeche rah jaate hain, jala dene ka iraada kiya”
(muslim, al masjidon 652)

Malum huwa ki juma ka chhodna bahut bada gunah hai, is par kadi warning hai, isliye har musalman par juma padhna farz hai, isme bilkul bhi susti nahi karni chahiye, jab khateeb mimber par chade , aur azaan ho jaaye to saare kaarobaar haraam ho jaate hain

Post a Comment

0 Comments