5 बड़े Imamo Ka Taweez Par Fatwa | Taweez Jaiz hain? Imamo ka Amal

5 बड़े Imamo Ka Taweez par Jawaaz aur Amal

Jaisa ke Aap Jante hai Taweez Quran wa Hadees se to Saaf Sabit hain lekin ispar bare bare Imamo ka kya Amal Raha hai Dalail ke Roshni me jante hain.


1.Imam Malik Ke Nazdeek Taweez Jaiz Hai.

Imam Ibne Abdul bar Likhtay Hain Kay Hazrat imam Malik Nay Kaha “Jab Taweez Latkane Say Ye Irada Na Ho kay is say Nazar Nahi Lage Gee Ya Koi Bimaari Nahi Hogi Tu Taweez {Galy Mein} Latkana Jayaz Hai Kisi Bhi Tandrust Aadmi Kay Galay Mein Taweez Latkana Jayz Nahi hai Aur Kisi Musibat Kay Nazil Hone Kay Baad Galay Mein Taweez Latkana Jayaz hai jab Kay is Taweez Mein Allah Tala kay Asma Likhe Howe Hun Aur Is Tawakko Per Taweez Latkaya Jaye Kay is Sa Musibat Tal Jaye Gi Aur Shifa Hasil Hogi 

Fatul Baari Sharah Sahih Ul Bukhari Vol 6 Page 147

Taweez_jaiz_daleel


  • Hazrat Imam Malik Kay Nazdik Taweez Jayaz Hai (2nd Daleel)

Hazrat Imam Malik Faramate Hain “is Baat Mein Koi Harj Nahi kay Hayez Aurten Ya Bachchun Kay Galay Mein Taweez Latkaya jaaye bashrat Ye ki Taweez Kisi Lohe Ya Cahamde Mein Band Ho



Al Majmoo Sharah Ul Muhazzab vol 2 Page 71

Taweez_Imam_malik_daleel

2.Hazrat Imam Hujar Asqalani Kay Nazdeek Taweez Jaiz Hai.

Hazrat Imam Ibne Hujar Asqalani Likhtay hain “Wo Tamaim {taweez} Jismein Quran Aur Zikr Ullah Kay Alfaz Hun Un Kay Istemal Mein Koi Harj Nahi hai Kiyun Kay Wo Tabarruk Kay Manind hai Aur Un Taweez Mein Allah Ka Naam Aur Zikr Hota Hai.


Fatul Baari Sharah Sahih Ul Bukhari Vol 6 Page 147
Taweez_Jaiz_Hai


3. Hazrat Imam Shami ke Nazdeek Taweez Jaiz Hai.

Hazrat Imam Shami Likhtay Hain “Logon Kay Aamal is {Taweez} Kay Jawaz Per Hai kay Junbi Ya Haeez {Na Paaki Ki Halat }  Kay Bazoo Per Taweez  Bandha Howa Ho Aur Wo Kisi Cheez Mein Lipta Howa Ho Tu Koi Harj Nahi
Raddul Muhtar vol 9 Page 523
Imam_Shami_Taweez_Jaiz

 4. Imam Shafai Ke Nazdeek Taweez Jaiz Hai.

Allama Zarkashiؒ Likhaty Hain “Hazrat Imam shafai Ki Khidmat Mein Ek Shaks Nay Ashobe Chashm Ki Shikayat Ki Tu Aap Nay Ek kagaz Per Usse Ye Taweez Likh Kar Bhejaفکشفنا عنک غطاءک فبصرک الیوم حدید   us Shaks Nay Wo Taweez Pehna Tu uski Bimari Door Hogai“


Alburhan Fi Uloom Ul Quran Vol 1 Page 434
Imam_Shafai_Taweez_Jaiz


5.Hazrat Imam Bagwi Ke Nazdeek Taweez Jaiz Hai.

Hazrat Imam bagwi ؒLikhtay Hain “ Sa,eid Bin Musaiyab SaySawal Pocha Gaya kay Aurtun Aur Chotay Bachon Kay Galay Main Aisay Taweez Latkana Jin Mein Quran Majid Likha Howa Ho Tu iska Kiya Humkam Hai? Hazrat Sa,eid Bin Musaiyab Nay Farmaya Jab Taweez Chamde Mein Bandha Howa Ho Ya Lohe Ki Dibiya Mein Ho Tu Koi Harj Nahi hai.

Saharah Us Sunnah Vol 12 page 158
Taweez_Shirk_Daleel
 

 Read More: Taweez Latkana Shirk hai 
Hadees?




Post a Comment

0 Comments